Friday, November 1, 2013

Muqaddar

Dil tha ameer, muqaddar gareeb tha,
Mil kar bichadna humara naseeb tha..
Chaah kar bhi kuch kar na sake hum,
Ghar bhi jalta raha, samundar bhi kareeb tha..

haqeekat ka andaza

Har mulaqaat par waqt ka takaza hua,
Har yaad par dil ka dard taaza hua,
Suni thi sirf gazlon mein judaai ki baatein,
Ab khud par beeti to haqeekat ka andaza hua..

Ruthi Si Zindagi

Ruthi Si Zindagi ko Manana To Aata Hai,
Logon ko Hasana To Aata Hai,
Kya Hua Jo Na Bas Sake Kisi Ke Dil Mein,
Logon Ko Apne Dil Mein Basana To Aata Hai.

Tuesday, October 29, 2013

मेरी नज़र से

मेरी नज़र से न हो दूर एक पल के लिए,
तेरा वुजूद है लाज़िम मेरी ग़ज़ल के लिए।

Monday, October 28, 2013

Kaash..

Kash Humari Bhi Parwah Kisi Ne Ki Hoti,
To Ye Duniya Humse Ruswa Na Hoti,
Agar Aata Aap Jaisa Muskurana Humein,
To Humse Bhi Kisi Ne Mohbbat Ki Hoti…

Saturday, October 26, 2013

Tum

Fiza Mein Mehakti Shaam Ho Tum,
Pyaar Mein Jhalakta Jaam Ho Tum..
Sine Mein Chupaye Phirte Hain Hum Yaadein Tumhari,
Isliye Meri Zindagi Ka Dusra Naam Ho Tum….

Friday, October 25, 2013

Door Nighaon Se..

Door nighaon se bar bar jaya na karo,
Dil ko iss kadar tadpaya na karo..
tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum,
yeh ehsas bar bar dilaya na karo..

Saturday, September 28, 2013

Rivaaj

Riwaaj To Yahi Hai Duniya Ka..
Mil Jana..Bichhar Jana..
Tum Se Ye Kaisa Rishta Hai.?
Na Miltay Ho..Na Bichartay ho..!!

Friday, September 6, 2013

खुदा से

खुदा से क्या माँगु तेरे वासते,
सदा खुशीयाँ हो तेरे रास्ते,
हँसी तेरे चहरे पे रहे इस तरह,
खुशबु फुल का साथ निभाती है जिस तरह..

Wednesday, September 4, 2013

क्या बना बैठे...

क्या बनाने आए थे, क्या बना बैठे...
कहीं मन्दिर बना बैठे, कहीं मस्जिद बना बैठे..
हम से अच्छी तो जात है परिंदों की...
कभी मन्दिर पे जा बैठे, कभी मस्जिद पे जा बैठे...